Followers

Monday, April 23, 2018

You are Son of Human

https://www.youtube.com/results?search_query=Tu+Hindu+Banega+Na+Musalaman

Tu hindu banega na
Musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai
Insaan banega
Tu hindu banega na
Musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai
Insaan banega

Acchaa hai abhi tak
Tera kuch naam nahi hai
Tujko kisi majhab se
Koi kaam nahi hai
Acchaa hai abhi tak
Tera kuch naam nahi hai
Tujko kisi majhab
Se koi kaam nahi hai
Jis ilm ne insaano
Ko tksim kiyaa hai
Us ilm ka tujpar koi
Iljaam nahi hai
Tu badle hue waqt
Ki pahechaan banega
Insaan ki aulad hai
Insaan banega
Tu hindu banega na
Musalaman banegaa
Insaan ki aulad
Hai insaan banega

Maalik ne har insaan
Ko insaan banaya
Hum ne use hindu
Ya musalaman banaya
Maalik ne har insaan
Ko insaan banaya
Hum ne use hindu
Ya musalaman banaya
Kudrat ne to hume
Baksi thi ek hi dharti
Humne kahi bharat
Kahi iran banaya
Jo tod de har sang
Wo tufaan banega
Insaan ki aulad
Hai insaan banega
Tu hindu banega na
Musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai
Insaan banega

Nafrat wo sikhaaye wo
Dharam tera nahi hai
Insaan ko jo ronde wo
Kadam tera nahi hai
Nafrat wo sikhaaye wo
Dharam tera nahi hai
Insaan ko jo ronde
Wo kadam tera nahi hai
Kuraan na ho jisme
Wo mandir nahi tera
Geeta na ho jisme wo
Dharam tera nahi hai
Tu aman ka aur sulah
Ka armaan banega
Insaan ki aulad hai
Insaan banega
Tu hindu banega na
Musalaman banegaa
Insaan ki aulad hai
Insaan banega

Ye din ye tajar ye
Watan bechane vale
Watan bechane vale
Ye din ye tajar ye
Watan bechane vale
Insaan ki laaso ke
Kafan bechne waale
Insaan ki laaso ke
Kafan bechne waale
Ye mahelo me bhethe
Hue kaafir ye lutere
Kaanto ke ye majno hai
Chaman bechne waale
Kaanto ke ye majno hai
Chaman bechne waale
Tu inke liye maut
Kaa elaan banega
Insaan ki aulad hai
Insaan banega
Tu hindu banega na
Musalaman banegaa
Insaan ki aulad
Hai insaan banega.

http://freeglobaluniversity.blogspot.com/search/label/ChristianIslamJudaismHinduSikhismJainismBuddhism

Humne Suna Tha

https://www.youtube.com/results?search_query=Humne+Suna+Tha

Ham ne sunaa thha
Ek hai bharat
Sab mulkon se
Nek hai bharat
Lekin jab nazdeek se dekha
Soch samajh kar theek se dekha
Ham ne naqshe aur hi paaye
Badle huye sab taur hi paaye
Ek se ek ki baat judaa hai
Dharma judaa hai zaat judaa hai
Aap ne jo kuch ham ko padhaaya
Wo to kahin bhi nazar na aaya

Jo kuch main ne tum ko padhaaya
Us me kuch bhi jhoot nahin
Aasha se bhaasha na miley to
Is ka matlab phoot nahin
Ik daali par reh kar jaise
Phool judaa hain paat judaa
Bura nahin gar yoon hi watan mein
Dharm judaa ho zaat judaa
Apne watan mein

Wahi hai jab quran ka kehna
Jo hai ved puraan ka kehna
Phir yeh shor sharaaba kyun hai
Itna khoon kharaaba kyun hai
Apne watan mein

Sadiyon tak is desh mein bachchon
Rahi hukumat gairon ki
Abhi talak ham sab ke munh par
Dhool hai un ke pairon ki
Ladwaao aur raaj karo
Yeh un logon ki hikmat thhi
Un logon ki chaal mein aana
Ham logon ki zillat thhi
Yeh jo bair hai ik dooje se
Yeh jo photo aur ranjish hai
Unhin videshi aaqaaon ki
Sochi samjhi bakhshish hai
Apne watan mein

Kuch insaan brahman kyun hain
Kuch insaan harijan kyun hain
Ek ki itni izzat kyun hai
Ek ki itni zillat kyun hai
Dhan aur gyaan ko
Taaqat walon ne apni jaageer kahaa
Mehnat aur ghulaami ko
Kamzoron ki taqdeer kahaa
Insaanon ka yeh batwaara
Vehshat aur jahaalat hai
Jo nafrat ki shiksha de
Wo dharma nahin hai laanat hai
Janam se koyi neech nahin hai
Janam se koyi mahaan nahin
Karam se badh kar kisi manushya ki
Koyi bhi pehchaan nahin

Ab to desh mein azaadi hai
Ab kyun janta fariyaadi hai
Kab jaayega daur puraana
Kab aayega naya zamaana
Sadiyon ki bhookh aur bekaari
Kya ik din mein jaayegi
Is ujde gulshan par rangat
Aate aate aayegi.

http://freeglobaluniversity.blogspot.com/search/label/Bharat